captcha ad Partners

imran khan

imran khan biography
Imran khan Pakistan cricket team ke kamyab tareen captain aur mash-hor samaji karkun ke elawa aik kamyab siyasatdan bhi hein. In ka pora naam Imran Khan Niazi hai, in ke walid ka naam Ikramullah Khan Niazi hai aur in ki walda ka naam Shaukat Khanum hai. in ki sabqa bivi ka naam Jemima Khan hai, in ke 2 bete hein, Sulaiman Khan and Qasim Khan hai. Imran Khan 25 November 1952 ko Lahore mein peda howe. Imran Khan ne ibtadai taleem Punjab ke shehar Lahore mein Cathedral school Lahore aur Aitchison college Lahore se hasil ki es ke bad aala taleem ke liye bartania chale gae aur wahan Royal Grammar School se parhna shoru kar diya aur pher oxford university se BA Honours ki degree hasil ki. Imran Khan ko bachpan se he cricket khelne ka shosq janon ki had tak tha jab ap oxford university ki cricket team mein select howe to ap ki khushi ki inteha na thi, ap ki salahiyat ko dekhte howe kuch hi dino ke bad aap ko oxfor university ki cricket team ka captain bana diya gaya. Imran khan ne first class cricket ka aaghaz 1969 mein Lahore ki taraf se Sargodha ke khelaf khela es ke bad kuch he dino mein woh Pakistan ki taraf se apna pehla match England ke khelaf 1971 mein Birmingham mein khela. Es ke bad un ki kamyabi ka safer shoru howa. Imran khan bachpan se he erade ke pakke they aur jo than lete thein ese pora karte thein woh kabhi har nahi mante. Imran Khan niazi jo sochte use pora karne ki than lete yahi wajha hai ke Pakistan ko world champion banane ka jo khawab unho ne dekha bil-aakhir ese pora kar dekhaya aur Pakistan 25 March 1992 ko Australia ke sar-zameen per pehli bar world champion ban gaya. Imran Khan ki shadi 21 June 1995 ko bartania ke aik businessman James Gold Smith ki beti Jemima se hoi, imran khan se shadi ke liye woh muslim hoen, Jemima se Imran Khan ke do bete hein, Imran aur Jemima ki shadi zyada arsa nahi chali aur sirf 9 saal mein in ki alehdgi ho gai aur woh apne dono bete ko lekar wapas bartania chali gain.




imran khan



imran khan



imran khan

imran khan

imran khan

imran khan

i